
Aansu se gam-e-dil ko manaya nahi jaata,
Ye dard hi aisa he bataya nahi jaata,
Ashqo k badle khoon ubhar aaye aankho me,
Aisa to kisi ko rulaya nahi jaata,
dil jaanta he kaise vafa ko kamaya he,
Kaagaz ki tarha ise baajar me nahi lutaaya jaata,
hoti he dillgai to ghadi do ghadi ki,
Har pal dilbar ko nahi sataya jaata........
Hum jaise tanha logo ka Hasna kya or Rona kya...?
jab chahne wala koi nahi ab jeena kya or marna kya...?
Yeh to khel taamasha hai
Ek do Mulakato mein..Pyar nahi ho jata,
Yeh to yaaro Pyar nahi hai, Yeh to khel taamasha hai,
Aajkal ka pyar hai kya,
Ek jaata hai duja aa jaata hai,
Duje ke jaane ke baad phir pyar ho jaata hai,
Yaaro pyar koi khel nahi hai jo bar bar ho jaata hai,
Dil ke ghar mein to mere yaaro ek hi Dilbar aata hai,
Aajkal ka pyar hai kya yeh to khel taamasha hai.
Apna jeevan gujar jaata hai, pyar samajh nahi aata hai,
Pyar to yaaro hai wo deepak jo rahe dikhlata hai,
Yaaro pyar koi hawas nahi hai, wo to ek ehsaas hai,
Jo kuch leta nahi hai hamse, humko sab de jaata hai,
Pyar to yaaro hai wo jazzba jisko puja jaata hai,
Aajkal ka pyar hai kya yeh to khel taamasha hai
Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,
Saza mili hai hume muskurane ki !
No comments:
Post a Comment